SEERAT-E- NAWASA-E-RASOOL SAIYEDNA IMAAM HASANE MUJTABAرضي الله تعالي عنه
SAIYEDNA IMAM-E-HASAN رضي الله تعالي عنه KE FAZ'AIL....
SAIYEDNA IMAM-E-HASAN رضي الله تعالي عنه KE FAZ'AIL....
Hazrat Saiyedna Imam-E-Hasan رضي الله تعالي عنه Ki Shakl-O-Shabahat Rehmate Aalam ﷺ Ke Mushabah Thi Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالي عنه Apko Lori Dete Waqt Farmaya Karti thi...
YE MERA BETA NABI-E KAREEM ﷺ KE MUSHABA HAI APNE WALID ALI KE MUSHABA NAHI...
⚫Hazrat Uqba Bin Harisa رضي الله تعالي عنه Se Marwi hai Ke ek Din Ameer-Ul-Momineen Hazrat Saiyedna Siddiq-E-Akbar Aur Ameer-Ul-Momineen Saiyedna Ali-E Murtuza رضي الله عتهما Namaz-E-Asr Ada karke Masjid se Nikle Hazrat Saiyedna Imam Hasan رضي الله تعالي عنه Baccho me Khel Rahe the Hazrat Saiyedna Abu-Bakr Siddiq رضي الله تعالي عنه Ne Unhe Apne Kandhe Par utha liya Aur Farmaya "INKI HUZUR ﷺ KE SATH MUSHABIHAT HAI ALI KE SATH NAHI ISPAR HAZRAT ALI MUSKURAE....
YA ALLAH TU BHI INHE MEHBOOB RAKH...
Hazrat Barra Bin Aazib رضي الله تعالي عنه Farmate hai Ke ek Din Huzur ﷺ Apne Doulat Qade se Bahar Tashrif Lae Aur Apne Doshe Mubarak Par Sehzade Hasan ko Bitha Rakha tha Fir Apne Farmaya "ILAHI ME ISE DOST RAKHTA HU TU BHI ISE DOST RAKH"...
⚫Hazrat Saiyedna Abu Huraira رضي الله تعالي عنه Farmate hai Ke ek Martaba Allah ke Pyare Habib ﷺ Sehzade Imam Hasan ko Apne Kandhe Par Bithae Hue Tashrif Lae Aur Farmaya...
ILAHI ME ISE DOST RAKHTA HU AUR ISKE DOST KO DOST RAKHTA HU TU BHI JO ISE CHAHE USE DOST RAKH....
(GULZARE SHOHDA)
No comments:
Post a Comment