Showing posts with label Madina. Show all posts
Showing posts with label Madina. Show all posts

Ek Waqiya Allah Ke Wali Ka

Hazrat Sayyed Abu Saalih Moosā Jangi-dost rahmatullāhi alaihi :
Aap ki wilaadat 27 Rajab 400 Hijri (March 1010 A.D.) ko Jilan (Iran) me hui.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Sayyed Abdullāh Jilli bin Sayyed Yahyā Zaahid rahmatullahi alaihi hai.
Aap Hasani saadaat hain.
********************
Aap apne waalid Hazrat Sayyed Abdullāh al-Jilli rahmatullahi alaihi ke mureed hain.
********************
Aap bahot bade Aabid, Zaahid aur Muttaqi the.
Ek martaba Aap dariya e Dajla ke kinaare par jaa rahe the. Aap ko bhook lagi thi. Achaanak ek saib paani me behta hua dekha. Aap ne use nikaal kar khaa liya. Phir jab chalne lage to khayaal aaya ke ‘Ma’aloom nahi saib kis ka tha. Qayaamat ke din ALLĀH ta’ala sawaal karega to kya jawaab dunga.’ Aap foran saib ke maalik ko talaash karne ke liye se jis taraf se saib behta hua aaya tha usi jaanib chal pade. Raaste me kai baagh aaye magar un me us saib jaise saib nahi the. Bahot door jaane ke baad ek baagh me pahunche jis ki daaliyan dariya ki taraf thi aur us me waise hi saib the. Aap ne puchha to pata chala ke yeh baagh Hazrate Abdullāh Saumai ka hai.
Chunaanche Aap Hazrate Abdullāh Saumai rahmatullāhi alaihiki baargaah me haazir hue aur saib khaane ka waaqiya sunaaya aur muaf karne ya qeemat lene ke liye arz ki. Hazrate Abdullāh Saumai ne farmaaya ‘Saib ki qeemat bahot zyada hai, adaa nahi kar paaoge.’ Magar Aap ne israar kiya to Hazrate Abdullāh Saumai ne kaha ke ‘Us ke liye meri 2 sharten hain. Pehli shart ye hai ki tumhe 12 saal tak mere baagh ki rakhwaali karni hogi aur us ke baad main tumhe dusri shart bataunga.’
Aap is ke liye tayyaar ho gaye. 12 saal Hazrate Abdullāh Saumai ke baagh ki rakhwaali karte rahe.
Ek din Hazrate Abdullāh Saumai ne Aap ko mehmaan ke liye phal laane ke liye kaha. Aap phal lekar aaye. Phal khaakar Hazrate Abdullāh Saumai ne kaha ‘Tum itne saal se baagh ki rakhwaali karte ho lekin tumhe ye pata nahi ke kaun se phal kache hain aur kaun se phal pake hue hain.’ Aap ne arz kiya ‘Main baagh ki dekh bhaal karta hu magar phalo ko chakhkar nahi hu.’
Hazrate Abdullāh Saumai ne Aap se farmaaya ‘Saib ki muafi ke liye ab tumhe ek aur kaam karna hoga.’ Aap ne puchha to farmaaya ke ‘Tumhe meri beti se nikaah karna hoga jo dekhti nahi hai, sunti nahi hai, koi cheez pakadti nahi hai, chalti nahi hai aur bolti nahi hai.’ Aap is ke liye bhi raazi ho gaye. Nikaah ke baad raat ko jab kamre me gaye to hairaan hue ke waha bahot hi khubsoorat haseen o jameel aur tandurast aurat maujood thi. Aap foran palatkar kamre se baahar jaane lage. Is me darwaaze se takra gaye. Aap Hazrate Abdullāh Saumai ke paas gaye aur kaha ‘Jis se meri shaadi hui hai wo ladki kamre me nahi hai balki doosri ladki hai.’
Hazrate Abdullāh Saumai ne farmaaya ‘Wohi tumhari biwi hai. Maine tum se jo kaha tha us ka matlab ye hai ke Meri beti Faatima ne kabhi kisi ghair mahram ko nahi dekha, us ne kabhi koi buri baat nahi suni, us ne apne haatho se kabhi galat kaam nahi kiya, us ke pair kabhi gunaah ki taraf nahi badhe, us ne kabhi koi khilaaf e shariat ya fuzool baat nahi ki.’
Aap ne khush hokar ALLĀH ta’ala ka shukr ada kiya.
********************
Aap ka nikaah Sayyeda Ummul Khair Amatul Jabbaar Faatima binte Sayyed Abdullāh Sawmai az-Zaahid rahmatullāhi alaihi se hua.
Aap ke 2 saahabzaade aur 1 saahabzaadi hain.
Saahabzaade :
(1) Shaikh Sayyed Muhiy-ud-deen Abdul Qaadir radiy-Allāhu ta’ala anhu,
(2) Sayyed Abu Ahamd Abdullāh rahmatullāhi alaihi.
Saahabzaadi :
Sayyeda Bibi Naseeba.
********************
Aap ka wisaal 11 Zil Qa’ada 489 Hijri (October 1096 A.D.) ko Jumeraat ke roz hua.
Aap ka mazaar Jilan (Iran) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Sayyed Abu Saalih Moosā Jangi-dost rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Aa’la Hazrat Imaam Ahmad Raza Khan

Aa’la Hazrat Imaam Ahmad Raza Khan rahmatullāhi alaihi :
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Aa’la Hazrat, Mujaddid e deen o millat, Imaam e Ahle sunnat, Azeem ul barkat, Faazil e Bareilwi.
**********
Aap ki wilaadat 10 Shawwaal 1272 Hijri (14 June 1856 A.D.) ko Bareilly (Uttar Pradesh) me hui.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Maulana Naqi Ali Khan bin Maulana Raza Ali Khan rahmatullāhi alaihi aur waalida ka naam Husaini khaanam binte Asfandar Yaar Beg hai.
Aap Hazrat Malik Qais Abdur Rasheed bin Ays Afghani radiy-Allāhu ta’ala anhu ki nasl se hain.
Aap ke pardaada Hazrat Saeedullāh Khan 1151 Hijri (1739 A.D.) me Naadir Shaah ke saath Hindustan aaye the aur yahi sukoonat pazeer hue the. Sultaan Muhammad Shaah ne un ko lashkar ke saalaar banaaye the.
**********
Aap bachpan se hi bade zaheen the.
Aap ne 4 baras ki umr me Qur’an majeed mukammal kiya.
Aap ne apne waalid se Dars e Nizaami ki taaleem mukammal ki.
Aap ne Mirza Ghulaam Qaadir Baig rahmatullāhi alaihi se ‘Meezan e Munsha’ab’ ki taaleem haasil ki.
Aap ne Hazrat Maulana Abdul Ali Rampuri, Hazrat Allama Shaah Aal e Rasul Marehrawi, Shaikh-e-Kabeer Hazrat Allama Sayyed Shaah Abul Husain Ahmad-e-Noori Marehrawi, Shaikh Ahmad bin Zain-e-Dahlaan Makki, Shaikh Abdur Rahmān Makki aur Shaikh Husain bin Saalih Makki se bhi taaleem haasil ki.
**********
Aap ne 6 saal ki umr me Rabi ul Awwal me Meelaad e Rasool ke unwaan par shaandar taqreer farmai.
8 saal ki umr me Arabi zabaan me 1 kitaab likhi.
14 Sha’abaan 1286 Hijri ko 13 baras 10 maah ki umr me pehla Fatwa likha aur Dastaar e Fazeelat ata ki gai.
**********
Bachpan me aap ne Maah e Ramazaan me roza rakha. Bahot garmi hone ki wajah se aur aap par abhi roza farz nahi tha is liye aap ke waalid aap ko ek kamre ke andar le gaye aur kamra band karke meethai di aur kaha ‘Ise kha lo’. Aap ne kaha ‘Maine roza rakha hai.’ Aap ke waalid ne kaha ‘Darwaaza band hai, Koi nahi dekhega. Tum khaa lo. Tum abhi bache ho.’ Aap ne kaha ‘Bhale koi na dekh raha ho. Magar mera Rab jis ke liye maine roza rakha hai wo to dekh raha hai.’
**********
1291 Hijri (1874 A.D.) me 18 saal ki umr me Aap ka nikaah Sayyeda Irshaad Begum bint Shaikh Fazle Husain se hua.
Aap ke 2 bete aur 5 betiya hain.
2 Saahabzaade :
(1) Haamid Raza Khan urfe Hujjat-ul-Islaam
(2) Mustafa Raza Khan urfe Huzoor Mufti e Aazam e Hind.
Aap ki 2 saahabzaadi ka nikaah Aap ke bhatije Hazrat Mufti Allama Hasnain Raza Khan bin Hasan Raza Khan rahmatullāhi alaihi ke saath hua.
**********
1294 Hijri (1877 A.D.) me Hazrat Maulana Abdul Qaadir Badayuni rahmatullāhi alaihi Bareilly Shareef aaye aur aap un ki daawat se un ke saath Marehra shareef gaye. Jab waha pahunche to Aap ne farmaaya ‘Mujhe mere peer ki khushbu aa rahi hai.’ Jab aap Khaanqaah-e-Bar
kaatiya me pahunche to Hazrat Sayyed Shaah Aal e Rasool Barkaati Marherawi rahmatullāhi alaihi ne Aap ko dekhkar farmaaya ‘Aao. Main kab se tumhara intazaar kar raha tha.’
Aap bai'at karke Hazrat ke mureed ho gaye.
Hazrat Sayyed Abul Husain Ahmad-e-Noori Miyan Barkaati rahmatullāhi alaihi ne aap se farmaaya ke ‘Yaha mureed hokar khilaafat haasil karne ke liye aane waalo ko pehle mujaahida karna padta hai. Jab wo us darje par pahunch jaata hai tab hi use khilaafat aur ijaazat milti hai.’
To Sayyedina Shah Aale Rasool rahmatullāhi alaihi ne foran kaha ke ‘ Aye logo! Ahmad Raza pehle hi se ALLĀH ta’ala ki taraf se sanwaar karke bheja gaya hai. Sirf use silsile se jodna tha. Qayaamat jab me main Rab ta’ala ke saamne khada rahunga aur mujhe puchhega ki Tum apne saath kya laaye ho to main kahunga ki Aye mere Rab tera ata kiya hua Ahmad Raza lekar aaya hu.’
**********
Aap ne 2 baar Hajj ada kiye :
(1) 1295 Hijri (1878 A.D.) me apne waalid ke saath,
Aur (2) 1323 Hijri (1906 A.D.) me apne biraadar Maulana Hasan Raza Khan aur saaahabzaade Haamid Raza Khan aur Mustafa Raza Khan ke saath.
**********
Aap ko Sunnat o hadeeṡ par mukammal yaqeen tha aur har amal Sunnat o hadees ke mutaabiq hi karte the.
Aap hamesha ba-jama’at namaaz ada karta.
Aap farmaate hain ke ‘Wali ki asl karaamat ye hai ke wo hamesha nek aur parhezgaar hota hai aur shariat aur sunnat par amal karta hai.’
(1) Ek baar ye afwah phaili ke Bareilly Shareef me Taa'oon (Plague) phaila hai. Ittefaaq se Aa’la Hazrat ko masoodo me soojan ho gaya aur dard itna shadeed tha ke aap ka munh bhi khul nahi pata tha aur tez bukhaar bhi tha. Jab doctor ko bulaaya gaya to us ne jaanch karne ka baad kaha ke ‘Aap ko Plague hone ka andesha hai.’ To aap ne kaha ke ‘Ye mumkin nahi hai. Kyun ke Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne ek dua batai hai aur farmaya hai ke jab koi badi beemaari phailne ki khabar suno to is dua ko padh lena. In sha Allāh hifaazat ho jaayegi. Aur maine is masnoon dua ko padh liya hai.’
Phir aap ne farmaaya ‘Aye ALLĀH! Tere Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke farmaan ko sahi saabit kar de.’
Itne aap ne ghaib se ek aawaaz suni ke miswaak aur kaali mirch istemaal karo.
Aap ne takleef bardaasht karte hue bhi miswaak kiya aur apne munh me kaali mirch ke daane rakhe. Aisa karne se ALLĀH ke karam se aap ki takleef kam hone lagi aur aap me phir se taaqat aane lagi.
Aur is tarah us doctor ko maanna pada ke us ki tashkees (diagnosis) galat thi.
(2) Aap 1295 Hijri (1878 A.D.) me apne waalid ke saath hajj ke liye gaye. Hajj ke safar me jahaaz se waapas aate waqt samundar me toofan shuru ho gaya. Jahaaz ke kaptan ne aakar kaha ke ‘Toofaan itna tez hai ke shaayad ham nahi bach sakte.’
Ye sunkar aap ke waalid ne kaha ke ‘Aye mere bete! Mujhe mujh se zyada tumhari fikr hai.’
Aap ne farmaaya ke ‘Hume kuchh nahi ho sakta kyun ke maine jahaaz par sawaar hote hi bahri sawaari (safar) ki masnoon dua padh li thi aur mujhe yaqeen hai ke mere Aaqa sallallāhu alaihi wa sallam ka farmaan hamesha sahi hota hai. Is liye hamare jahaaz ko kuchh bhi nahi hoga.’
Thodi der me toofaan rook gaya aur kaptan ne aakar kaha ke ‘Ab hamare jahaaz ko koi khatra nahi hai.’
**********
Aap ne apne har amal se Huzoore akram Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam aur Aale rasool ke mukammal ishq ka saboot diya.
(1) Ek baar aap doli me bethkar Bareilly Shareef ke bazaar se guzar rahe the. Aap ne doli uthaane walo ko doli rokne ke liye kaha aur puchha ‘Tum me se saadat kaun hai?’ Kisi ne jawaab nahi diya. Aap ne phir se ilteja karte hua ke ‘Meharbani karke bata do ke aap me kaun saadat hai. Mujhe aale rasool ki khushboo aa rahi hai.’
Tab ek hazrat ne kaha ‘Main aale rasool hu. Ghareebi aur majboori ki wajah se main doli uthane ka kaam kar raha hu.’
Aap ne foran haath chumkar kaha ke ‘Mujhe muaf kar dena.’
Phir aap ne us sayyedzaade ko doli me bithaaya aur khud un ki jagah par doli uthaakar chalne lage.
(2) A’ala Hazrat ko Hazrat Shaah Mahedi miyan Barkaati se bahot mohabbat thi aur aap un ki bahot ta’azeem karte the. Hazrat ko baadi aur bawaasir ki takleef thi. Un ke ek mureed Hajj karke Marehra shareef aaye. Apne Peer ki takleef sunkar unho ne is ke ilaaj ek taambe ka chhalla (angoothi) diya. Hazrat Shaah Mahedi miyan ko bahot zyada takleef thi. Is liye aap ne wo chhalla apne ungli me pehan liya. Ittifaq se A’ala Hazrat un dino me Marehra shareef tashreef laaye aur Hazrat Shaah Mahedi miyan ke ghar par qayaam kiya. Aap ne dekha ke Hazrat ne apni ungli me taambe ka chhalla pehna hai. Aap ne socha ke Hazrat ko kis tarah batau ke ye chhlla pehnna khilaaf e shariat hai kyun ke Sayyedzaade ke adab ka muamala hai. Aap ne ek tarkeeb ki aur Hazrat se arz kiya ‘Huzoor! Mujhe baadi ki takleef ka koi ilaaj bataaiye.’ Hazrat ne foran apni ungli me se wo chhalla utarkar aap ko diya aur kaha ‘Hamare ek mureed ne Madeena munawwara se ye chhalla laakar is beemaari ke ilaaj ke liye mujhe diya hai. Tum ise le lo.’ Aap ne adab ke saath us chhalle ko le liya aur Peerzaade ko is khilaaf e shariat kaam se rok diya aur un ko ehsaas bhi nahi hone diya.
(3) Ek martaba Khaanqaahe Barkaatiya ke Sajjaada nasheen saahab ne ghar ki rakhwaali ke liye do kutto ki farma'ish ki. Aap ne ba-adab jawaab diya ki ‘Faqeer jaldi do kutte haazire khidmat kar dega.’ Phir Barielly se apne dono saahabzaado ko Khaanqaahe Aaliya Barkaatiya me laaye aur Sajjaada nasheen saahab se arz kiya ‘Huzoor! Ye saara din kaam-kaaj bhi karenge aur raat ko rakhwaali bhi karenge.’
***********
Karamaat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Ek baar Aap Rail se Pilibhit se Bareily ja rahe the. Raaste me Nawabganj station par train 1-2 minute ke liye ruki. Maghrib ka waqt ho chuka tha. Aap apne saathiyon ke saath namaaz ke liye platform par utre. Saathi pareshaan the ki train chali jaayegi to kya hoga. Lekin aap ne itminaan se Azaan dilwakar ba-jama’at namaaz shuru kar di.
Udhar Driver train ka engine chalu karta hai lekin train nahi chalti. Engine uchalta aur phir patri par girta hai. T .T, Station Master, wagairah sab log jama ho gaye. Driver ne bataya ki engine me koi kharaabi nahi hai.
Achanak ek Pandit chikh utha ‘Wo dekho koi durwesh Namaaz padh raha hai, shaayad train isi wajah se nahi chalti?’ Ye sunkar log Aa’la Hazrat ke ird gird jama ho gaya.
Aap itminaan se namaaz mukammal karke jaise hi apne saathiyo ke saath Rail me sawaar hue to Rail chalu ho gai aur aage badhi.
(2) Bareilly Shareef me ek shakhs Auliya, Peer o Murshid aur bai'at me nahi maanta tha. Us ka ek dost Aa’la Hazrat se milne ke liye ja raha tha. Us ne us shakhs se kaha ke ‘Tum mere saath Aa’la Hazrat se milne chalo aur waha un se is baare me mobahisa kar lena. Wo ye baat kar raha tha ke us shakhs ne ek dukan me taazi mithai dekhi. Us ne kaha ke ‘Pehle ye mithaai lete hain, Phir main tumhare saath chalta hu.’ Us ne kaha ke Aa’la Hazrat milne ke baad waapas aate waqt raaste me yaha se mithaai le lenge. Bahot samjhaane par wo maana.
Aur dono Aa’la Hazrat ki baargaah me gaye. Dono waha baithe the, itne me ek mureed kuchh mithai lekar aaya aur waha haazir sab ko taqseem karne ke liye kaha.
Aa’la Hazrat ke darbaar me ye tareeqa tha ke jin ki daadhi hoti un ko do hisse diye jaate aur baghair daadhi wale ko ek hissa diya jaata kyun ki wo bache jaise lagte hain.
Chunaanche jo mureed taqseem karne ke liye khada hua wo isi tarah sab ko de raha tha.
Jab us shakhs ki baari aai to wo mureed use ek hissa de raha tha. Tab Aa’la Hazrat ne use do hisse dene ke liye kaha. To us mureed ne kaha ‘Hazrat, Is ki daadhi nahi hai.’
Aa’la Hazrat ne farmaaya ‘Us ko do hisse khaane ki khwaahish hai.’
Us shakhs ne jab ye suna to use pata chal gaya ke Aa’la Hazrat ko us ke dil ki khwaahish bhi khabar ho gai hai. Wo sharminda hua aur Aa’la Hazrat ka mureed ho gaya.
**********
Ek baar kisi ne khat me Aap ke naam ke saath ‘Haafiz’ likh diya. Ye khat Aap ko 29 Sha’abaan ko mila. Aap ne jab padha to socha ke main haafiz e Qur’an nahi hu. Is liye mujhe Haafiz kehna sahi nahi. Magar main jald hi Haafiz e Qur’an ban jaaunga.
Phir maah e Ramazaan me ishaa ke waqt me azaan aur namaaz ke dauraan Hazrat Sadr-ush-Shariah Allama Mufti Amjad Ali Aazmi rahmatullāhi alaihi Aap ko Qur’an majeed ka ek paara padhkar sunaate aur Aap us ko namaaz e taraaweeh me Qir’at me padhte. Aur is tarah Ramazaan ke khatm hone tak aap Haafiz e Qur’an ho gaye.
**********
Log agar kisi mas’ale ke liye talaash karte to Aa’la Hazrat baghair kitaab dekhe safa number ke saath us ka jawaab dete.
*****************
Ilme Falkiyat o Taqweem (Astronomy) me Aap ko itni mahaarat thi ke Aap din ko sooraj ko dekhkar aur raat me sitaara ko dekhkar ghadi me waqt mila lete aur 1 minute ka bhi farq na hota.
*****************
Aligarh University ke Vice Chancellor Dr. Sir Zia-ud-deen Ahmad ko Ilme Riyaazi ke ek aham mas'ale ka hal nahi mil raha tha. Bahot saare University me mas'ala bheja magar jawaab nahi mila. Aakhirkaar ye tay kiya ke Germany jaakar is mas'ale ka jawaab haasil kiya jaaye. Jab Hazrat Sayyed Sulaimān Ashraf ko is baat ka pata chala to unho ne Bareilly jaaakar Aala Hazra se milne ka mashwara diya. Dr. Sir Zia-ud-deen Ahmad ne kaha ‘Woh to Maulwi hain aur deeni masaa ke baare me jaankaari rakhte honge. Is masale ka hal unhe kaise pata hog?’ Sayyed Sulaimān Ashraf ne kaha ke ‘Bareilly nazdeek hi to hai. German jaane se pehle ek baar Aala Hazrat se mil to lijiye.’ Bahot israar karne par Dr. Zia-ud-deen Ahmad Bareilly jaane ke liye tayyaar hue. Sayyed Sulaimān Ashraf ne Aala Hazrat ko paighaam bhej diya ke ‘Agar Dr. Zia-ud-deen Ahmad suit aur tie pehankar aaye to kuchh kehna nahi. Pehle un se baat kar lena.’
Dopahar ko Aligarh se nikle aur Bareilly pahunche to asr ki azaan ho chuki thi. Aala Hazrat wuzu ke liye tayyaari kar rahe the. Dr. Sir Zia-ud-deen Ahmad ko dekhkar puchha ‘Aaiye, Kya baat hai?’ Unho ne kaha ‘Bada aham masala hai. Aap pehle namaaz padh len. Us ke baad aaraam se baat karte hain.’ Aala Hazrat ne farmaaya ‘Bataiye to sahi.’ Unho ne apna masala bataaya. Jaise us ki baat puri hui foran Aala Hazrat ne us ka jawaab de diya. Jawaab sunkar unhe bahot ta’ajjub hua. Sochne lage ke ‘Main is ke hal ke liye pure Hindustan me kai jagah par raabat kar chuka hu aur inho ne masala sunar foran tasalli bakhsh jawaab de diya.’
Jab Aala Hazrat namaaz ada karke aaye us ne majeed sawaal kiye aur jawaab sunte sunte aankho se aansoo jaari ho gaye aur kehne laga ke ‘Ilme ladunni ke baare me suna tha, aaj dekh bhi liya.’ Aur un ki zindagi me tabdeeli aa gai. Namaaz ke paaband ho gaye.
*****************
1301 Hijri (1882 A.D.) me Pilibhit me Madrasa Daar-ul-Hadeeṡ ke bunyaadi jalse me Hindustan ke bahot saare mash'hoor mohaddeeṡeen aur ulama tashree laaye the aur A’ala Hazrat rahmatullāhi alaihi ke mubarak haatho se Madrasa ki sange bunyaad rakhi gai aur Aap ne lagaatar 3 ghante tak Ilm e Hadeeṡ, Usool e Hadeeṡ aur is se muta’alliq mozu par shaandaar taqreer farmaai.
*****************
Aap Imaam e Ahle sunnat aur 14wi sadi ke Mujaddid e Islaam hain.
1317 Hijri (1900 A.D.) me Patna me Ahle Sunnat wal Jama’at ke ijtema ke dauraan Maulana Abdul Muqtadir Badayuni rahmatullāhi alaihi ne Aala Hazrat ko ‘Mujaddid’ kehkar khitaab kiya.
Is ke ilaawa Shaikh Ismā'eel bin Khaleel aur Shaikh Moosā Ali Shaami rahmatullāhi alaihi aur dusre arab wa ajam ke ulama ne Aap ko Mujaddid kaha hai.
**********
Aap ne apni kitaabo aur bayaano me bahot si buri bid’ato ko radd kiya hai.
(1) Mazaar (ya Qabr) ko Sajda, Rooku ya Tawaaf karna.
(2) Aurto ka mazaaraat par jaana.
(3) Maushiqi aur saaz (Music) waali Qawwaali.
(4) Mazaar par ya Majlis ya Juloos me naachna, gaana-bajaana.
(5) Taaziyadaari.
**********
Jab Mirza Ghulaam Ahmad Qadiani ne Imaam Mahdi hone ka aur phir Nabi hone ka daawa kiya tab Aap ne 1323 Hijri (1906 A.D.) me Hajj ke liye gaye to ‘Al Motamad Al Mustanad’ naam se ek tehreeri ṡaboot (Document) tayyaar karke Makka aur Madeena ke ulama ko pesh kiya aur phir Hejaaz ke 33 ulama ki raay aur faisla jama karke Arabi me ‘Husaam-ul-Harmain’ naami kitaab tayyaar ki jis me Mirza Ghulaam Ahmad Qadiani ke kaafir hone ke ṡaboot diye gaye hain.
**********
Aap ne Wahaabi aur Deobandi ke Ashraf ul Ambiya Khair ul bashar Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ki gustaakhi bhare bad-aqeedo ko radd karte hue ṡaboot pesh kiye.
(1) Huzoor Mohammad Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam Insaan-e-kaamil hone ke saath noor bhi hain.
(2) Huzoor Mohammad Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam ko ALLĀH ta’ala ne Mukhtaare kul banaaya hai.
(3) Huzoor Mohammad Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam Haazir wa naazir hain.
(4) Huzoor Mohammad Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam ko ALLĀH ta’ala ne Ilm e ghaib ata kiya hai.
(5) ALLĀH ta’ala ne apne Ambiya, Auliya aur Shohada ko wisaal ke baad bhi Aalam e baqa me hamesha ki zindagi ata farmai hai.
(6) ALLĀH ta’ala ke muqarrab bande ya’ni Ambiya, Auliya, Shohada, Ahle bait aur Saaliheen ka waseela lena jaa'iz hai.
1323 Hijri (1906 A.D.) me jab Aap dusri baar Hajj ke liye gaye the to Makka me sirf 8 ghante me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke Ilm e ghaib ke ṡaboot par ‘Addaulatul Makkiyah’ naam ki kitaab likhi. Jise padhkar Arab ke ulama ne Aap ko Imaam maana.
**********
Tehreek e Khilaafat ke dauraan Mohandas Gandhi ko kisi ne Ahmad Raza Khan se milne ka mashwara diya. Jab aap ko bataya gaya ke Gandhi aap se milna chahte hain to aap ne farmaaya ke ‘Wo kis baare me guftagoo karna chahte hain? Deeni ya Dunyawi? Agar dunyawi muamale me guftaguoo karna chahte hain to main un se nahi mil sakta. Mujhe dunyawi baato me dilchaspi nahi hai.’
***********
Tasannif :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
1330 Hijri (1912 A.D.) me Aap ne ‘Kanz-ul -Eimaan fee Tarjuma al-Qur’an’ naam se Qur’an majeed ka Urdu tarjuma kiya hai.
Aap ne bahot saari mash'hoor Hamd e baari ta’ala, Na’at e Mustafa, Manqabat aur Munajaat likhi hain.
Aap ne 55 se zyada uloom par taqreeban 1000 kitaaben likhi hain.
Un me se kuchh mash'hoor kitaaben :
(1) Fataawa Razawiya (12 Jild)
(2) Ahkaam e Shariat
(3) Husaam-ul-Harmain
(4) Fataawa Harmain
(5) Addaulat-ul-Makkiya
(6) Al Fuyuzaatul Makkiya
(7) Azzubdat-uz-Zakiyya
(8) Al Ijaazat-ul-Mateena
(9) Kifl-ul Faqeeh
(10) Aalil Ifaada Fee Taaziyatil Hind wa Bayaane Shahaadat.
***********
Hijri (1904 A.D.) me Aap ne Jaamia Razawia Manzar e Islaam ki taameer ki.
Aap ke mash'hoor shaagird :
Aap ke 2 sahabzaade Hujjat-ul-Islaam Haamid Raza Khan aur Mufti e Aazam e Hind Mustafa Raza Khan, Sadr-ush-Shariah Amjad Ali Aazami, Sadr-ul-Afaazil Maulana Sayyed Naeem-ud-deen Muradabadi, Muhaddeeṡ-e-aazam-e-Hind Sayyed Muhammad Ashrafi Kachhauchhawi, Malik-ul-Ulama Zafar-ud-deen Bihari, Qutb-e-Madeena Zia-ud-deen Ahmad al-Madani mash'hoor hain.
***********
Aap Hazrat Sayyed Shaah Aale Rasool Marehrawi Qaadri Barkaati rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aap se ‘Razawi’ Silsila jaari hai.
Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Hujjat-ul-Islaam Allama Maulana Muhammad Haamid Raza Khan rahmatullāhi alaihi
(2) Hazrat Mufti-e-aazam-e-Hind Maulana Mustafa Raza Khan rahmatullāhi alaihi
(3) Hazrat Ustaad-e-Zamaan Maulana Hasan Raza Khan rahmatullāhi alaihi
(4) Hazrat Sadr-ush-Shariah Allama Maulana Mufti Amjad Ali Aazami rahmatullāhi alaihi
(5) Hazrat Sadr-ul-Afaazil Allama Maulana Sayyed Naeem-ud-deen Muraadabadi rahmatullāhi alaihi
(6) Hazrat Qutb-ul-Madeena Allama Shaikh Zia-ud-deen Ahmad Madani rahmatullāhi alaihi
(7) Hazrat Malik-ul-Ulama Allama Maulana Sayyed Zafar-ud-deen Bihari rahmatullāhi alaihi
(8) Hazrat Burhaan-e-Millat Allama Burhaan-ul-Haq Jabalpuri rahmatullāhi alaihi
(9) Hazrat Allama Maulana Abdus Salaam Jabalpuri rahmatullāhi alaihi
(10) Hazrat Mubbaligh-e-aazam Allama Maulana Shaah Abdul Aleem Siddeeqi Merathi rahmatullāhi alaihi
(11) Hazrat Allama Maulana Mukhtaar Ahmad Siddeeqi Merathi rahmatullāhi alaihi
(12) Hazrat Sultaan-ul-waa'izeen Maulana Abdul Ahad Mohaddeeṡ Pilibhiti rahmatullāhi alaihi
(13) Hazrat Shaikh Muhammad Abdul Hayy rahmatullāhi alaihi
(14) Hazrat Shaikh Ahmad Khaleel rahmatullāhi alaihi
(15) Hazrat Shaikh Ahmad Khudrawi rahmatullāhi alaihi
(16) Hazrat Shaikh Muhammad bin Abi Bakr rahmatullāhi alaihi
(17) Hazrat Shaikh Muhammad Saeed rahmatullāhi alaihi
(18) Hazrat Maulana Sayyed Ahmad Ashraf rahmatullāhi alaihi
(19) Hazrat Raees-ul-Muhaqqeeqeen Maulana Shaah Sulaimān Ashraf Bihari rahmatullāhi alaihi
(20) Hazrat Sher Besha e Ahle Sunnat Allama Maulana Hashmat Ali Khan rahmatullāhi alaihi
(21) Hazrat Maulana Jameel-e-Qaadri rahmatullāhi alaihi
(22) Hazrat Maulana Mufti Mahmood Jaan rahmatullāhi alaihi
(23) Hazrat Budh Shaah Baaba rahmatullāhi alaihi.
***********
Ramazaan 1339 Hijri me Aap shadeed beemaar aur kamzor the. Bareilly Shareef me sakht garmi thi. Shariat me shaikhe faani ko ijaazat hai ki roza na rakh sake to fidiya de aur naatwa mareez ko ijaazat hai ki qaza kare. Lekin Aap ne farmaaya ki ‘Barielly me shiddate garmi ke sabab mere liye roza rakhna mumkin nahi lekin pahaad par thandak hoti hai yaha se Nainitaal qareeb hai. Muwali pahaad par roza rakha jaa sakta hai. Mai waha jaane par qaadir hu. Chunaanche maahe Ramaaan Aap ne wahi guzaara aur pure roze rakhe.
Kamzori ke sabab Aap chalkar masjid tak nahi jaa sakte the magar chaar aadami Aap ko kursi par bitha kar masjid tak pahuchaate aur isi tarah ba-jama’at namaaz ada karte rahe.
***********
Aap ke wisaal ke kuchh waqt pehle Shaam (Syria) ke kisi Wali ne Bait-ul-Muqaddas me khwaab me dekha ke Huzoore akram sallallāhu alaihi wa sallam ki mehfil me aap ke aas-paas kuchh ashaaba baithe hai jaise wo kisi ka intazaar kar rahe the.
Unho ne puchha ‘Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam! Aap kis ka intazaar kar rahe hain?
Aap ne farmaaya ke ‘Ahmad Raza Khan.’
Unho ne puchha ‘Ahmad Raza Khan kaun hain?’
Aap ne farmaaya ke ‘Hindustan ke Bareilly ka ek aalim.’
Jab un ki aankh khuli to foran Syria se Bareilly aane ke liye nikal pade. Lekin jab wo waha pahunche to pata chala ke Imaam Ahmad Raza Khan ka inteqaal ho chuka tha.
***********
Aap ne wisaal se pehle wasiyat ki thi ke ‘Meri namaaz e janaza Maulana Haamid Raza Khan ya Allama Amjad Ali Aazami padhayen aur mere janaaza ko 'Ka’abe ke Badr ud Duja' padhte hue le jaayen aur meri qabr ko itni gehri banaana jitni meri unchaai hai.’
Apne wisaal ke 42 minute pehle Aap ne farmaya ‘Mere kamre se paisa, lifaafa, card wagairah hata do kyun ki us par tasweer bani hoti hai.’
***********
Aap ka wisaal 25 Safar 1340 Hijri (28 October 1921 A.D.) ko azaan e Jum’aa ke dauraan 65 saal ki umr me hua.
Aap ka mazaar Bareilly Shareef (Uttar pradesh) me hai.
***********
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallahu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Aa’la Hazrat Imaam e Ahle sunnat Ahmad Raza Khan rahmatullāhi alaihi aur Tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

इस्लामी हैरत अंगेज़ मालूमात पोस्ट

*_﷽-الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ_*
*______________________________________*

*______________________________________*
    *《हजरत सुलैमान अलैहिस्सलाम》*
            *《का बयान पोस्ट(1)》*
*______________________________________*
सवाल- हज़रत सुलैमान अलैहिस्सलाम का जमाना हुजूर नबी करीम सल्लल्लाहु त‌आला अलैहि वसल्लम से कितने साल पहले है?
*जवाब- आप का जमाना हुजूर नबी करीम सल्लल्लाहु त‌आला अलैहि वसल्लम की विलायत से सत्रा सौ साल पहले है।*
📚(हाशिया जलालैन 8/275)

सवाल- हज़रत सुलैमान अलैहिस्सलाम के वालिद और वालिदा का नाम करता है?
*जवाब- आपके वालिद हज़रत दाऊद अलैहिस्सलाम हैं और वालिदा मौहतरमा का नाम औरय्या है।*
📚(अल विदाया 2/15)

सवाल- हज़रत सुलैमान अलैहिस्सलाम का सिलसिला नसब किन वास्तों से इब्राहिम अलैहिस्सलाम तक पहुंचता है?
*जवाब- हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम तक आपका सिलसिला नसब यूं है सुलैमान बिन दाऊद बिन ईशान बिन औवद बिन वाइर बिन सलमून बिन बख़शून बिन अमी बिन यारव बिन ख़ज़रून बिन फ़ारस बिन यहूदा बिन याकूब बिन इस्हाक बिन इब्राहिम अलैहिमुस्सलाम।*
📚(अल अतक़ान फी उलूमुल क़ुर‌आन 2/178)

सवाल- हज़रत सुलैमान अलैहिस्सलाम की कितनी बीवियां थीं?
*जवाब- आपकी एक हजार बीवियां थीं जिनमें तीन सौ कुंवारियां और सात सौ बांदियां थीं।*
📚(अल कामिल फ़ी तारीख़ 1/89)
*______________________________________*
*हदीसे पाक में है कि इल्म फैलाने वाले के बराबर कोई आदमी सदक़ा नहीं कर सकता।*
*(क़ुर्बे मुस्तफा,सफ़्हा100)*
*______________________________________*

GAZWA E OHUD MUBARAK

Aapko aur Aalam e Islam ko Fateh Jang e Ohad aur Urse SHOHDA E OHUD Bohat Bohat Mubarak Ho!💐

Aaj 15 Shawwalul Mukarram
*Shahaadat e Ameer e HAMZA RadiyAllahuAnhu Aur Fateh Jang e Ohad Hai*

Hazrat Ameer e Hamza RadiyAllahuAnhu k Janaaze ko Farishton ne Gusl Diya aur
Iski Tasdeeq khud Sarware Aalam SallAllahuAlaihiWasallam ne Farmaai

Hazrat Ameer e Hamza ka Janaaze ki Namaz Sarkar SallAllahuAlaihiWasallam ne 70 Martaba Ada Farmaai

Hazrat e Jibraeel AlaihisSalaam Sarkar ki Bargah me Haazir huwe aur Arz Kiya k
Hazrat Ameer e Hamza ka Naam 7Saaton Aasmaanon me Allah aur Allah k Rasool ka Sher likha Gaya hai
SubhanAllah

Behaqi Sharif se Riwayat Hai k Hazrate Fatimah Zehra SalaamullahiAlaiha Farmaati Hai k Main ne Mazaar e Saiyyaduna Ameer e Hamza Par Salaam Arz Kiya to Qabr k Andar se Mere Salam ka Jawab Diya Gaya Jise main ne Apne Kaano se Suna SubhanAllah

Huzoor Sarwar e Aalam SallAllahuAlaihiWasallam Aksar Apne Sahaba k Saath Hazrat Ameer e Hamza k Mazar e Paak Par Tashreef le Jaate aur Wahan Salaam Farmaate the
SubhanAllah
(Hujjatul Aalameen JILD 2 Safa 864)

Tamam Shohda e Ohad RadiyAllahuAnhum ki Bargah e Paak me Khub Isaal e Sawaab Pohcha Kar Apni Duniya o Aakhirat Sawaarein

Allah Paak Hazrat e Ameer e Hamza aur Shohda e Ohad RadiyAllahuAnhum k Sadqe Tufail Aalam e Islam pe Apna Fazl e Khaas Farmaaye.
Aameen Bijaahin Nabiyyil Kareem SallAllahuAlaihiWasallam

*JAAN NISAARAANE BADR O UHUD PAR DUROOD*
*HAQ GUZAARAANE BAI'AT PE LAAKHON SALAAM*

*UNKE AAGE WOH HAMZA رضي الله عنه  KI JAAÑ BAAZIYAAN,*
*SHER e GURRAANE SATWAT PE LAAKHON SALAAM.*

GAZWA E OHUD:
15 Shawwal 3 hijri,
Muslims-700
Kaafirs-3000.

Shab e Qadr ka bayaan

♦♦♦♦♦♦♦♦
Shab e Qadr ki Fazeelat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Qur’an :
97 Surah al-Qadr :
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيم
إِنَّا أَنْزَلْنَاهُ فِي لَيْلَةِ الْقَدْرِ
وَمَا أَدْرَاكَ مَا لَيْلَةُ الْقَدْرِ
لَيْلَةُ الْقَدْرِ خَيْرٌ مِنْ أَلْفِ شَهْرٍ
تَنَزَّلُ الْمَلَائِكَةُ وَالرُّوحُ فِيهَا بِإِذْنِ رَبِّهِمْ مِنْ كُلِّ أَمْرٍ
سَلَامٌ هِيَ حَتَّىٰ مَطْلَعِ الْفَجْرِ
Beshak hum ne is (Qur’an) ko Shab e Qadr me utaara [naazil farmaaya] hai.
Aur kya Aap jaante hain ki Shab e Qadr kya hai?
Shab e Qadr (fazeelat wa azmat me) hazaar mahino se behtar hai.
Is me farishten aur Roohul ameen [Hazrate Jibreel alaihis salaam] naazeel hote hain apne Rab ke hukm se har kaam me khair wa barkat lekar.
Ye subah roshan [tulu’] hone tak salaamti (ki raat) hai.
Hadeeṡe Nabawi :
(1) Hazrat Anas ibn Maalik radiy-Allāhu ta’ala anhu se riwaayat hai ki :
Jab Ramazaan ka mahina shuru hua to Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya
‘Ye mahina tum me aaya hai aur is me ek raat aisi hai jo hazaar mahino se achhi hai to jo shakhs is ki barkato se mahroom raha wo tamaam bhalaiyo se mahroom raha aur nahi mahroom rakha jaata kisi ko is ki bhalayio se magar sirf wo jo bilkul be-naseeb ho.’
(Ibn e Maajah)
(2) Hazrat Anas ibn Maalik radiy-Allāhu ta’ala anhu se riwaayat hai ki :
Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya
‘Shab e Qadr me Hazrate Jibreel alaihis salaam farishto ki (bahot badi) jama’at ke saath zameen par utarte hain. Wo sab har us shakhs ke liye Dua e Maghfirat karte hain jo khade baithe (kisi bhi haal me) ALLĀH ka zikr kar raha ho.’
(Bayhaqi, Sho'ab ul eimaan, 3 : 343, Hadeeṡ -3717)
(3) Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ki
‘Shab e Qadr ko Ramazaan ke Aakhri Ashre ki Taaq [21, 23, 25, 27, 29wi] raaton me talaash karo.’
(Tirmizi)
(4) Hazrate Aa'isha Sideeqa radiy-Allāhu ta’ala anha se riwaayat hai ki :
Maine Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam se puchha ‘Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam, Agar mujhe maaloom ho jaaye ke Shab e Qadr kaun si raat hai to main kya karu?’
Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ‘Yeh Dua (kaṡrat se) padho : Allāhumma innaka afuwwun tuhibbul afa'w fa'afu annee.’
(5) Jis ne Shab e Qadr me eimaan aur ikhlaas ke saath Qayaam kiya to us ke umr bhar ke guzishta gunaah muaf farma diye jaayenge.
(Bukhari, Jild -1, Safa -660, Hadeeṡ -2014)
***************
Shabe Qadr ki Ibaadat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Maah e Ramazaan ki 27wi raat ke nawaafil :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) 2 Rak'at nafl namaaz Tahyatul wuzu padhen.
Har rak'at me Surah Faatiha ke baad 1baar Aayat ul Kursi aur 3 baar Surah Ikhlaas padhen.
In shaa Allāh har katra paani ke badle 700 rak'at nafl namaaz ka ṡawaab milega.
(2) 4 Rak'at namaaz padhen.
Har rak'at me Surah Faatiha ke baad Surah Qadr 1 martaba, Surah Ikhlaas 17 martaba padhen.
Salaam baad 70 baar Istighfaar padhen.
Phir ye Dua padhen :
Allāhumma innaka afuwwun tuhibbul af'wa faa'afu annee.
In shaa Allāh ALLĀH ta’ala tamaam pichhle gunaah muaf farmaega aur Jannat me daakhil farmaega.
(3) 4 Rak'at namaaz 1 salaam se padhen.
Har rak'at me Surah Faatiha ke baad Surah Qadr 3 martaba, Surah Ikhlaas 17 martaba padhen.
Salaam baad Durood shareef padhkar yeh dua padhen :
Ash'hadu al-laa ilāha illallāhu astagfirullāh,
Allāhumma innee as'alukal jannah allāhumma ajirnee minan naar.
In shaa Allāh ALLĀH ta’ala Maut ke waqt aasaani ata farmaega aur Qabr ke azaab se mehfooz rakhega aur Jannat me daakhil farmaega.
(4) 4 rak'at namaaz ek salaam se padhen.
Har rak'at me Surah al-Faatiha ke baad Surah Qadr 3 martaba aur Surah al-Ikhlaas 50 martaba padhen.
Salaam baad sajde me jaakar 1 martaba ‘Sub'hānallāhi wal-hamdulillāhi wa laa ilāha illallāhu wallāhu akbar’ padhen.
Phir Durood shareef padhkar 3 marataba yeh Dua padhen.
Allāhumma innee as'alukal afa'w wal aafiyat wal muaafat fid deeni wad dunya wal aakhirah.
In shaa Allāh ALLĀH ta’ala tamaam nek jaa'iz murado ko puri farmaega aur duaen qubool farmaega.
(5) 2 Rak'at namaaz padhen.
Har rak'at me Surah Faatiha ke baad Surah Qadr 7 martaba aur Surah Ikhlaas 7 martaba padhen.
Salaam baad Durood shareef aur Astaghfaar padhkar yeh Dua padhen.
Allāhumma ghfir lee wali waalidayya wal muaminina wal muaminaat wal muslimina wal musalimaat.
Allāhumma innee as'alukal jannah allāhumma ajirnee minan naar.
In shaa Allāh ALLĀH ta’ala is namaaz padhne waale ki aur us ke waalidain ki bakhshish farmaega.
(6) 2 rak'at namaaz padhen.
Har rak'at me Surah Faatiha ke baad Surah Alam Nasrah 1 martaba aur Surah Ikhlaas 3 martaba padhen.
Salaam ke baad 27 martaba Surah Qadr aur 100 martaba Durood shareef padhen.
In shaa Allāh ALLĀH ta’ala beshumaar ṡawaab ata farmaega.
(7) Subah saadiq se pehle 4 rak'at namaaz ek salaam se padhen.
Har rak'at me Surah Faatiha ke baad Surah Qadr 3 martaba aur Surah Ikhlaas 5 martaba padhen.
Salaam baad sajde me jaakar 41 martaba ‘Sub'hān Allāh’ padhen.
In shaa Allāh ALLĀH ta’ala tamaam nek jaa'iz muraado ko puri farmaega aur duaen qubool farmaega.
*****************
Duaen aur Azkaar :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي
Allāhumma innaka afuwwun tuhibbul af'wa faa'afu annee.
Tarjuma :
Aye ALLĀH tu muaf farmaane waala hai muaf karna tujhe pasand hai tu mujhe muaf farma.
(2) Allāhumma innee as'alukal af'w wal aafiyat wal muaafatad daa'imat fid deeni wad dunya wal aakhirah.
(3) اللّهُمَّ إِنِّي أسألُكَ الجَنَّة، اللّهُمَّ أجِرني مِنْ النَّار.
Ash'hadu allaa ilāha illallāhu astaghfirullāh,
Allāhumma innee as'alukal jannah allāhumma ajirnee minan naar.
(4) Allāhumma ajirna minan naari ya mujeeru, ya mujeeroo ya mujeeroo ya mujeer.
(5) Astaghfirullāhallazi laa ilāha illa huwal hayyul qayyoom wa atoobu ilaihi.
(6) Sub'hān Allāhi wa bihamdi Sub'hān Allāhil azeem.
(7) Surah al-Mulk 7 martaba padhen.
(8) Surah al-Qadr kaṡrat se padhen.
*******************
▪▪► Kisi wajah se tamaam namaaz na padh saken to jitni padh sakte hain utni padhen aur phir Tilaawat e Qur’an, Kalma, Zikr ya Durood shareef padhte rahen.
▪▪► Aur apne liye aur tamaam ummat e Mustafa ke liye Dua e khair aur apne aaba wa ajdaad aur tamaam marhoomeen ke liye Due e maghfirat karen.
▪▪► Jin ki namaazen Qaza ho gai hain wo pehle jitni mumkin ho utni Qaza namaaz padhen taake bariuz zimma ho jaayen.
Aur tauba karke ye pakka ahad karen ke aa'inda sab namaaz waqt par ada karne ki koshish karenge aur namaaz ke foyuz o barkaat haasil karte rahenge.
Nafl namaaz ka pura ṡawaab usi ko milta hai jo Farz namaaz waqt par ada karta hai aur pehle un namaazo ki qaza padh leta hai jo chhut gai hai.
5 waqt ki Qaza namaaz me Rak'at ki ta’adaad :
Fajr 2, Zohar 4, Asr 4, Maghrib 3, Ishaa 4, Witr 3.
*******************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Ahle bait ke waseele se aur Auliya Allāh aur Shohada ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki aur gunaaho se bachne ki taufiq ata farmae.
Aur is Mubarak raat me ikhlaas ke saath ALLĀH ta’ala ki raza ke liye sahi tareeqe se Ibaadat karne ki taufiq ata farmae aur hamari ibaadat ko qubool farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Tamaam kaarobaar me khair o barkat ata farmae aur Har pareshaani aur Ranj o gham se najaat ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aur Islaam ka bolbala ata farmae.
Aameen.

THE MEDICAL & SPIRITUAL EFFECT OF RECITING SURATUL FATIHA INSIDE YOUR DRINKING WATER

THE MEDICAL & SPIRITUAL EFFECT OF RECITING SURATUL FATIHA INSIDE YOUR DRINKING WATER
❤❤هل تعلم❤❤
❤❤DO YOU KNOW❤❤
عجائب شرب الماء مع قرأة سورة الفاتحه
الخطوه الاولى عند فتح قنينة الماء
او تناول كوب من الماء.
Wonders of drinking water with recitation of Suratul Fatiha at the first instance upon open the water bottle or picking up a cup of water.
نقرأء سورة الفاتحه كامله
We recite Suratul Fatiha fully
ومن ذلك نشرب الماء ونحن جالسين
Drinking water while sitting
سورة الفاتحه مع الماء تفتح الشرايين المغلقه

Suratul Fatiha (helps) opens locked arteries
تشرح القلب والصدر
It expounds the heart and chest
تعطيك طاقه اجابيه وتريح الاعظاء الداخليه
مثل الكلى
القلوون
الكبد
المراره
المصارين
It grants you a positive strenght and relaxes internal organs such as kidney, colon, gallblooder, liver
والقرآن كله شفاء
الصيدليه الربانيه
سورة الفاتحة في كوب ماء
هنيئاً لمن جعلها عادة يومية.
_ الطريقة مجربة ::
سورة الفاتحة روح تضاف إلى روحك شيء عظيم في حياتك..
And the entire Qur'an is a cure
The Divine Pharmacy
Suratul Fatiha in a cup
Congrats for the one who made it a daily routine.
_ By way of experiment ::
Suratul Fatiha is a is (divine) spirit which adds to your spirit something great in your life..
سورة الفاتحة هي الحل بإذن الله لكل مشكلة سواء مع الزوج أو اﻷولاد،،،
في المدرسة أو في الجامعة،،،
عليكم بسورة الفاتحة، اقرأوها بيقين.
Suratul Fatiha is the solution by the will of Allah  to every problem either with the husband or children,,,
In school or in the university,,,
So you need to be reciting Suratul Fatiha, recite with certainty.
_ سورة الفاتحة تقتل كل اﻷمراض والجراثيم والحقد والكراهية،،،
عطروا غرفكم بسورة الفاتحة،،،
أقرأوها في فرشكم،،،
وأنتم تشربون الماء ،،،
كرروها باستمرار .
_ Suratul Fatiha cure all kinds of diseases and jerms, hatred and aversion,,,
Perfumerize (spiritually) your rooms with Suratul Fatiha,,,
Read it on your brushes,,,
Repeat it consistantly.
_ سورة الفاتحة،،،
تضبط أقوالك وأفعالك،،،
هي شفاء بإذن الله ﻷمراض القلوب من حسد وكبر وعجب وغرور،،،
شفاء من العصبية ومن كل سلوك سلبي ترغب في التخلص منه.
_ Suratul Fatiha monitors words and actions,,,
It is a cure for sickness of the heart such as envy, arrogance, pomposity and ego by the will of Allah,,,
It is a cure for nueralism and for every negative  behavior which is desire to refrain from.
_فضائل سورة الفاتحة:
_كل ما قدسه الله نقدسه وكل ما عظمه الله نعظمه .
عليك كما تعظم الله عز وجل أن تعظم كلامه وتعظم ما عظمه.
_ Virtues of Suratul Fatiha:
_ Everything that Allah sanctifies we sanctify it and everthing that Allah makes great we make it great. So you must honor the words of Allah as you honor him and honor what he honored.
ذهبت احدى المحاضرات الى مدرسة تلقى محاضرة فقالت لها المديرة :
ماذا ستقدمين؟ اجابت سورة الفاتحة. قالت: كم ساعة تحتاج؟!
اجابت: ساعتين .
قالت: ساعتين لسورة الفاتحة.
One of the lecturers went to a school to deliver a lecture and the principal said to her : What (topic) will you present? She answered Suratul Fatiha.
فلما قدمت سورة الفاتحة ألقت المحاضرة في 4 ساعات،،،
So when she started the presentation she delivered a lecture for 4 hours,,,
هل قرأت سورة الفاتحة بتمعن أو أسرعت في القراءة دون أن تستشعر معانيها؟!
Have you read Suratul Fatiha carefully or you have hasted in reading without feeling its meaning?!

YOUM-E-SHAHADAT-E ALI MURTAZA (رَضِي اَللَّــهُ تَعَالَى عـَنـهُ)*

 *21 RAMADAN •Yani•*
*YOUM-E-SHAHADAT-E ALI MURTAZA (رَضِي اَللَّــهُ تَعَالَى عـَنـهُ)* ✨
( _*Zaruri Malumaat Har Musalmaan Ke liye*_ ) Zaroor Poora Padhe 
Kya Apko Pata Hai *MAULA Ali RadiAllahuanhu* Ko Kisne Shaheed Kiya ?
Kya Shaheed Karne Wala ~Yahoodi~ tha ? ~Nasrani~ tha ? ~Mushrik~ tha ? Nahi Nahi.
Sarkar Maula e Kayenat Hyder e Karrar Ko Shaheed Karne Wala Ek Naam Nihad Musalman( _*Kharji*_ )  tha ..
Uska Naam AbdurRahman ibne Muljim tha ..
Zahiri Taur par Kalma Padhne Wale , Namaz Padhne Wale Ne Hi Maula Ali Par Waar Kiya .. Allahuakbar Wo kharjiyo Ke Giroh Ka tha Jo Us Waqt Apne apko Musalman kahlata tha Aur Ummat Ka Sabse Pahla #Firqa bhi wahi tha ..
Aaj bhi Ye Kharji Log Maujood hain .. Jo Maula E Kayenat aur Ahlebait Ke *dushman* hain ...
Aur Bazahir To Kalma padhne Wale, Namaz Padhne Wale,  Logon Ko Musalman banate Nazar Aate  hain lekin hain Kharji ..
Dushmane Rasool Wo Dushmane Ahlebait hain .. Wo log Koi aur Nahi balke Ye Aaj k Daur k  Wahabi hain ..
Jo Aaj bhi Dushman hain Sahaba o AHLEBAIT ke.
Jo Aaj bhi Ahlebait aur Sahaba Ke Mazarat par bomb blast karte hain ..
Jo Aaj bhi Musalmanon par #Shirk ka Fatwa Lagakar Unhe Qatl Karte hain..
Aur ek Saal ki Hi Baat hai Ek *Syria* Ke Sunni Scholar Ko Azaan ke Baad darood o Salam Padhne par In Kharjiyo Ne Shaheed Kardiya ..
Allahuakbar Saari Duniya Ke Musalmano Ko Mushrik Banana aur Unhe Qatl karna yahi Kaam hai In Kharjiyo ka ..
Maula Ali RadiAllahuanhu ke Zamane Me in logon Ne Mere Maula Ali Par bhi Shirk Ka *Fatwa* Laga Diya Tha MaazAllah...
Aur Aapki Jaan Ke dushman Bangaye the ..
Bilakhir Abdur Rahman ibne Muljim ke haatho Aap Ko Shaheed Kiya Gaya .. *Allahukbar* 
Eisale Sawab Zarur Kijiye Maula Ali RadiAllahu anhu Ki Bargah me ... Kyunki 21 Ramadan Ul Mubarak Hi Wo Din Hai Jis Din Maula Paak Is _Zahiri Duniya Se Tashreef Legaye_ ..
*MUSHKILE HAL KAR SHAHE MUSHKIL KUSHA KE WASTE*
*KAR BALAE RADD SHAHEED E KARBALA KE WASTE*
_*Note*_ : Aksar Log *Maula Ali RadiAllahuanhu Ke Qatil* Ka Naam Ibne Muljim ibne Muljim Batate hain ..
Lekin *Ulama e AhleSunnat* Farmate hain ki Maula  Kayenaat ko shaheed karne Wale Ka naam Pura batao *#Abdur_Rahman_ibne_Muljim* Taake Awaam ko Pata Chale ke *Har Kalma Padhne Wala Musalman  Nahi Hota...*

SEERAT-E- NAWASA-E-RASOOL

SEERAT-E- NAWASA-E-RASOOL SAIYEDNA IMAAM HASANE MUJTABAرضي الله تعالي عنه
SAIYEDNA IMAM-E-HASAN رضي الله تعالي عنه KE FAZ'AIL....
Hazrat Saiyedna Imam-E-Hasan رضي الله تعالي عنه Ki Shakl-O-Shabahat Rehmate Aalam ﷺ Ke Mushabah Thi Hazrat Saiyeda Fatima Zahra رضي الله تعالي عنه Apko Lori Dete Waqt Farmaya Karti thi...
YE MERA BETA NABI-E KAREEM ﷺ KE MUSHABA HAI APNE WALID ALI KE MUSHABA NAHI...
⚫Hazrat Uqba Bin Harisa رضي الله تعالي عنه Se Marwi hai Ke ek Din Ameer-Ul-Momineen Hazrat Saiyedna Siddiq-E-Akbar Aur Ameer-Ul-Momineen Saiyedna Ali-E Murtuza رضي الله عتهما Namaz-E-Asr Ada karke Masjid se Nikle Hazrat Saiyedna Imam Hasan رضي الله تعالي عنه Baccho me Khel Rahe the Hazrat Saiyedna Abu-Bakr Siddiq رضي الله تعالي عنه Ne Unhe Apne Kandhe Par utha liya Aur Farmaya "INKI HUZUR ﷺ KE SATH MUSHABIHAT HAI ALI KE SATH NAHI ISPAR HAZRAT ALI MUSKURAE....
YA ALLAH TU BHI INHE MEHBOOB RAKH...
Hazrat Barra Bin Aazib رضي الله تعالي عنه Farmate hai Ke ek Din Huzur ﷺ Apne Doulat Qade se Bahar Tashrif Lae Aur Apne Doshe Mubarak Par Sehzade Hasan ko Bitha Rakha tha Fir Apne Farmaya "ILAHI ME ISE DOST RAKHTA HU TU BHI ISE DOST RAKH"...
⚫Hazrat Saiyedna Abu Huraira رضي الله تعالي عنه Farmate hai Ke ek Martaba Allah ke Pyare Habib ﷺ Sehzade Imam Hasan ko Apne Kandhe Par Bithae Hue Tashrif Lae Aur Farmaya...
ILAHI ME ISE DOST RAKHTA HU AUR ISKE DOST KO DOST RAKHTA HU TU BHI JO ISE CHAHE USE DOST RAKH....
(GULZARE SHOHDA)

♥JANG-E-BADR♥

17 Ramzan - 2 AH . 624 CE. Jang-e-Badar (Islam ki pehli Jang) (brief history)
♥JANG-E-BADR♥
When just 313 Sahaaba Defeated thousands of Kuffar.

Huzoor Nabi e Kareem Sallallaho Alaihay Wasallam
Apnay 313 Sahaba e Kiram Ajmayeen Razi Allaho Anho
k saath San e 2 Hijri main Madinay Sharif say Badar k
Maqam Tak Punhchay Jahan Kuffar k Saath Jang e Badar
ka Mashoor Waqia Ru numa Huwa......
Jab Aap Log Badar k Maqam Pay Punhchay To Raat Ho
Chuki Thee Aur Us Waqt Arab k Qaim Karda Aqaid kay
Tehet Yeh Tai Paya k Jang Subha Hogi Lehaza Raat bhar
Araam Kia Jaye,
Lehaza Aik Taraf Musalmanon k Lashkar Nay Parao Dala
Jab k Doosri Janib Kuffar Apnay Lashkar k Saath Tehray.
Halankay Agar Pata Ho Kay Subha Jang Honay Wali Hay
To Maray Khof ke Kahan Neend Aankhon Main Ayegi aur
Sahaba e Kiram Razi Allaho Anho to Shahadat panay ki
Khushi Main Aur Jazba e Imaani Say Sarshaar Waisay bhe
Na So Sakain k Subha Janay Kis Ki Qismat Mai Jam e
Shahadat Nosh Karna Likha Ho Magar Allah Taala ki
Qudrat e Kamla k Us Zaat e pak Nay Tamam Islami
Lashkar Ko Sukoon Ki Neend Muhayya k0Ki k Is Say Pehlay
Sahaba Kabhi Aisi Pursukoon Neend Na Soey Thay
Udhar kuffar ko Allah
Kareem ki Qudrat e Kamla Se Raat Bhar Ek Khouf Tari
Kar Diya Gaya Jis Say Unko Sari Raat Neend Na Aayi
Ek Aur Cheez k Allah Nay Musalmanon k Dilon Mai
Kuffar k Lashkar Ko Intihayee Kam Kardia Jabkay Kuffar k
Dilon Main Yeh Khouf Daal Diya k Jaisay Wo 313 Ba
Ho Balkay 1000 Ho,
Subha huwi, Huzoor Nabi e Kareem Sallallaho Alaihay
Wasallam ki Iqtida Main Sab Sahaba e Kiram Ajmayeen
Razi Allaho Anho Na Namaz e Fajr Ada Ki Aur Namaz Ada
Kartay Hi Huzoor Nabi e Kareem Sallallaho Alaihay
Wasallam Nay Sab Say Kaha k Agar Aisa Ho Jaye ki Allah
Kareem Ki Janib Say 1000 Farishtay Aa Jaye Tumhey Jang
Main Saath Daynay k Liye To Kaisa Ho,
To Sahaba e Kiram Ajmayeen Razi Allaho Anho Maray
Khushi k Jhoom Uthay,
Phir Farmaya k Agar 3000
Farishtay Aa Jaye To,
Phir Tamam Sahaba Aur Khush Ho Gaye Phir
Aakhir Main Farmaya k Agar 5000 Farishtay Aa Jaye to
Kaisa Ho To Tamam Sahab Bohot Khush Huwe Or Keh ne Lagey,
Agar Aisa Ho Jaye To Hum Kuffar Per Bhadi Aasani say Ghalba Pa Jayngay,
Qurban Jaaey Sarkar e Do Alam Sallallaho Alaihay
Wasallam Par k Us Waqt Tak Allah Kareem Nay Farishto
ko Bhejnay Ka Irada Nahi Farmaya Tha Magar Jab
Huzoor Nabi e Kareem Sallallaho Alaihay Wasallam Nay
Farma Diya To Allah Kareem Ne Apnay Habeeb Sallallaho
Alaihay Wasallam Ki Raza k Liye Farihton Ki Fauj Bhej Di,
Subhan Allah kya Ikhtiaraat Ata Kiye Hai Allah Kareem
Ne Mere Aaqa ko......
To Jab Jang Shru Hui to Allah Kareem Ne Farishton Ko
Hukm Diya k Jao Aur Ashab e Badar k Saath Jang Main
Kuffar Se Lado Aur Aisay Jana Ki
Tumharay Haathon Main Teer Aur Talwaar Ho Aur
Jangi Libas Mai Jana,
To Hukm e Bari e Taala Patay Hi
Farishton Ki Jamaat, Sardar e Malaika Hazrat Jibrail
Alaihay Salam Ki Qiadat Mai Ashab e Badar k Saath
Kuffar Say Jang Karnay Aa Gaye Aur Ye Jang Musalmanon
Nay Farishton Ki Gaibi Madad Say Ba Aasaani Jeet Li....
Buhut Say Kuffar k Sardar Is Jang Main Maray Gaye Jis
Say Unki Qamar Toot Gayi Aur Buhut Say
Kuffaro ko Qaidi Bana Liya Gaya To
Huzoor Nabi e Kareem
Sallallaho Alaihay Wasallam Ne Sahaba e Kiram
Ajmayeen Razi Allaho Anho say Poocha k Kya Kiya Jaye Inkay
Saath To Sab Nay Apni Apni Raye Di k Inko Qatal Kar diya Jaye,
ya Inko Qaidi Banakar Ghulaam Bana Liya Jaye,
Magar
Qurban Jaye Aaqa Kareem Sallallaho Alaihay Wasallam par
k Allah Kareem Ne Beshak Aap ko REHMAT-UL-LIL-ALAMEEN
Banakar Bheja To Aap Ne Ye Faisla Kiya Ki
Un Se FIDYA Laykar Chhoor Diya Jaye.....
Kia Baat Hay Sarkar e Do Alam Sallallaho Alaihay
Wasallam Ki k Log Unko Marnay Ki Gharz Say Aatay To
Aap Apni Rehmat e Bakaran k Sadqay u0Unko Chhor De Te....
Farishtay Bhi Wapas Chalay Gaye,
Jang k Baad Aap Nay Namaz Parhayee
“ Jab Namaz
s0Say Farigh Huwe To Ek Sahabi Ne Arz ki k
YA Rasulallah Aap Dauran e Namaz Muskura Kyun Rahay Thay....
To Qurban Jayye Aaqa
Kareem Sallallaho Alaihay Wasallam Per Ki a
Aap Ne Us Sahabi
Say Yeh Sawaal Nahi Kiya k Tum Namaz Parh Rahay Thay
to Tumhara Dhiyaan To Allah Kareem ki Janib Hona
Chahiye Tha, Aankhain Sajday Mai Honi Chahiye Theen
Meri Taraf Kyu Dekh Rahay Thay...!!
Magar Sahaba Kiram
Ajmayeen Ka Ishq To Is Say Bohot Agay Tha k
♥KISI KO DEKHTAY REHNA NAMAZ THI UN KI♥
Balkay Muskura Kar Farmaya ki,
Jibrael e Ameen Jang k Baad Tamam Farishton Ko Le kar
Wapas Chalay Gaye to Aasmaan Par Allah Ke Hukm Se Farishton Ney Unhain
Aanay Se Rouk Diya Aur Farmaya k Tum Jis Maqsad k Liye
Gaye Thay Uskay Baghair Kaisay Aa Gaye
To Jibraeel Ameen
Ne Farmaya k Hum to Sahaba ko Jang Main Madad Kar Ne
Pohonchye Thay to Unhon Ne Farmaya k Nahi,
Balkay Tum Ko to "Raza e Mustafa" Sallallaho Alaihay■
Wasallam ki Khatir Bheja Gaya Tha,
Lehaza Jao Aur Jab Tak
Unsay Ijazat Na Le Lo Wapas Na Aao....
To Is Wajah Se Jibraeel Ameen Merey Paas Aaye Thay
Jab Ki Hum Namaz Ada Kar Rahay Thay To Mainay Unko
Ijazat Di,
Namaz Mai Bol Nahi Sakta Tha Is Liye
Muskara Diya Ki Haa Ab Tum Log Jaa Saktay Ho,
♥Subhanallah Kya Maqam e Mustafa Sallallaho
Alaihay Wasallam Hai.

Difference Between Maghfirah and Afuw ?

*What’s the difference between Maghfirah (مغفرة ) and 'Afuw (عفو )?*

*Maghfirah*: is for Allah to forgive you for the sin but the sin will still be registered on your book of deeds. Maghfirah is Allah’s forgiveness for your sin but on the Judgment Day it will be written on your record, Allah will ask you about it but HE won’t punish you because of it

*'Afuw*: is for Allah to forgive you for the sin and delete it from your book of deeds as if it did not happen. ‘Afuw is Allah’s pardon for your sin, it will be completely erased from your record and Allah won’t ask you about it on Judgement day

*This is why our Prophet (salla Allahu alaihi wa sallam) said that, this is the best Duaa to make on Laylatul Qadr:*

*"Allahumma innaka 'afuwwun tuhibbul 'afwa fa'fu 'annee"*
(Ahmad, Ibn Majah, and Tirmidhi)

*O Allah, You are The One Who pardons greatly, and You love to pardon, so pardon me.)"*

So make sure you read this dua all the time and as much as you can. Make it one of your daily athkaar.
Imagine that you are standing on the day of Judgment being held accountable for your deeds, and you're not guaranteed your entry to Jannah.

*Suddenly you find that you have mountains of Hasanat (rewards) in your record*

Do you know from where these mountains of rewards come from?

Because in the Dunya you kept saying : *”SubhanAllah wa bihamdihi SubhanAllah al ‘Adhim”*

_Prophet Muhammad ﷺ said:_ *"Two words are light on the tongue, weigh heavily in the balance, they are loved by Al Rahman, (The Most Merciful. One):*
سُبْحَانَ اللّهِ وَ بِحَمْدِهِ ، سُبْحَانَ اللّهِ الْعَظِيمِ - *SubhanAllahi wa biHamdihi, Subhan-Allahi 'l-`adheem (Glory be to Allah, and Praise, Glory be to Allah, the Supreme)"*
(📚Bukhari , Muslim)

Can you imagine how much your reward will be multiplied if you share this information about the virtue of this remembrance with your friends and they keep saying it *(SubhanAllah wa bihamdihi SubhanAllah Al Adheem)* because you guided them to do good?

*Be the One Who Guides Others to Good Deeds.*

Ta'weez Pahenne Ka Saboot Sahaabi Aur Mohaddiseen Se..

1 - Jaam'e Tirmizi, Hadees No.3528 Tarjumah - "Rasoolullah ﷺ Ne Farmaaya Ke Jab Tum Me Se Koi Nee'nd Me Darr Jaaye To Yeh Du...