Momin_Ki_Namaaz

*⚫Namaaz E Magreeb:-*

*●MAS'ALAA:-*

"Magreeb Ke Farz Ke Baad Dono Sunnatein Jald Pad Leni Chahiye Aur Farz Wa Sunnat Ke Darmiyan Kalaam (Baat Cheet)Na Karna Chahiye".

*(Bahare Shariat)*

*■HADEES SHARIF:-*

Hazrat Huzaifa Radi Allahu Ta'ala  Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Farmate Hai Ki Jo Shaksh Baad Magreeb Kalaam Karne Se Pehle Do Rakatein Pade, Uski Namaz illiyeen Me Utai Jaygi

*(Tibrani)*

*●MAS'ALAA:-*

"Jis Mukhtadi Ko Magreeb Ki Teesri Rakat Mili Ho, Voh Jab Apni Faut Shuda (Chuti Hui) Do Rakatein
Pade. Tab Pahli Rakat Ke Baad Kha'da Zarur Kare, Yaani Ek Rak'at Ke Baad Kha'da Kare Aur Usme Sirf Attahiyat Padh Kar Khada Ho Jaye, Fir Dusri Rakat Pade Aur Khada E
Akheera Kare".

*(Fatawa Razwiya Jild-3, Safha-392)*

*#Mission_E_TajushShariah*

1 comment:

Ta'weez Pahenne Ka Saboot Sahaabi Aur Mohaddiseen Se..

1 - Jaam'e Tirmizi, Hadees No.3528 Tarjumah - "Rasoolullah ﷺ Ne Farmaaya Ke Jab Tum Me Se Koi Nee'nd Me Darr Jaaye To Yeh Du...