Yaum E Wiladat Huzur Mufti e Azam E Hind Allayrehma
Nanhe Mufti E Azam Ka Pehla Fatwa
Huzur Syedi Sarkaar Mufti E Azam E Hind Allayrehma Ke Tamaam Sawaneh Is Baat Par Mutfiq Hai Ke Aapne Boht Chhoti Umar Me Raza'at (Doodh Pilai) Se Mutliq Ek Mushkil Masla Ko Qalam Bardasta Bagair Kitaab Dekhe Likh Dia, Jiski Tasdiq Wa Tausif Ala Hazrat Quds Sira Ul Aziz Ne Farmai. Is Fatwa Ke Likhne Ka Sabab Huwa Ke Huzur Mufti E Azam E Hind Allayrehma Nau Umari Ke Zamane Me Ek Roz Markazi Darul Ifta Me Itefaqan Pohch Gaye, Malak Ul Ulma Hazrat Maulana Zafar Ul Deen Bahari Allayrehma Us Waqt Kuch Likhne Ke Liye Almari Se Koi Kitaab Nikaal Rahe They, Hazrat Wala Ne Malak Ul Ulma Sahab Se Kaha Ke Kya Aap Kitab Dekh Kar Fatwa Likhte Hai ? Malak Ul Ulma Ne Farmaya Acha Tum Bagair Dekhe Likh Do, Hazrat Ne Sawal Pada Aur Bagair Kitab Dekhe Jawaab Likh Dia, Yeh Aapki Zindagi Ka Pehla Fatwa Tha.
Apka Likha Huwa Jawaab Jab Sarkar Ala Hazrat Allayrehma Ki Khidmat Me Tasdiq Ke Liye Paish Kiya Gaya, To Jawab Dekh Kar Imaam Ahmad Raza Boht Khush Hue Aur Sahi Ul Jawab Ba Aunil Malikil Wahab Likh Kar Dastkhat Farmaye Aur Inaam Ke Taur Par "Abul Barkat Mohiyudeen Jilani Aale Rehman Mohamamd Aur Mustafa Raza" Ki Mohar Maulana Yaqin Ul Deen Sahab Marhum Ke Bhai Se Banwa Kar Ata Farmai,
Yeh Waqiah Hizri 1328 Ka Hai Us Waqt Apki Umar Sharif 18 Sal Ki Thi, Baz Swane Nigaar Hazrat Ne Likha Hai Ke Us Waqt Aapki Umar 13 Sal Thi Yeh Sahi Nahi Hai. Uske Bad Musalsal 12 Sal Tak Imaam Ahmad Raza Allayrehma Ki Zindagi E Aaapki Nigarani Me Fatwa Nausi Me Masruf Rahe, Aur Yeh Silsila Akhri Umar Tak Jari Raha, Is Tarah Apke Fatwa Aur Dusre Hazrat Ke Fatwa Tasdiq Karne Ki Muddat Taqriban 74 Sal Hai, Hizri 1328 Ta Hizri 1402
Hazrat Wala Ki Paidaish Hizri 1310 , Pehla Fatwa Hizri 1318 , Ala Hazrat Ka Wisal Hizri 1340 Hazrat Wala Ka Wisal Hizri 1402 Umar Sharif 92 Sal, Fatwa Nausi Ka Agaz 18 Sal Ki Umar Me, Ala Hazrat Ki Nigraani Me Fatwanausi 12 Sal Aur Muddat Fatwa Nausi 74 Sal.
Taabish E Anwar Mufti E Azam E Hind Safah 49
Khalifa E Mufti E Azam E Hind Allama Maulana Mujib Ashraf Sahab Qibla Maharastra
No comments:
Post a Comment